"Ek aawaj, unke liye jinhone hame duniya dekhne ka haq diya.....!!
MAA-PAPA:- ,Duniya me sabse uncha sthan ,rakhne wale sabse jyada pujniy,sabse jyada dayalu,.....ya yu kahe bhagawan .jab bhi ham inko dekhte h to yhi sochte h ki "bhagwan ki surat inse alag kya hogi".
"ek maa -papa apni santan ki khusi ke liye puri jindgi dukh uthane ko tyar rahte h bina kuch soche samjhe....ki aage wo kya krenge jinke liye wo aaj itna kuch kar rahe h....unhone kabhi apni santan ko yah ahsas nhi hone diya ki wo un ke liye kuch kar rahe h ya kitna kuch kiya...binaswarth ke,bina kisi lalach ke.
Lakin afsos ki unki wahi santan ya ollad ,unke kiye huye upkaro ka badla kuch is kadar chukate h ki,.sayad koi dusamn bhi kisi ke sath aisa nhi krta ho apne dusman ke sath..
"MAA-PAPA JO KUCH APANI SANTAN KE LIYE KARTE H WO SANTAN EK DIN UNKO BHUL JATA H.........???
1-Kya ek bete ka farz nhi h ki wo bhi ek din apne papa ka sahara bane ?
2-Kya ek beti ka ye farz nhi h ki wo bhi kabhi maa ko khana banakar khilaye?
3-Kya ek bete ka yah farz nhi h ki wo apne maa papa ko kahi apne sath ghumane le jaye?
4-Kya santan ka farz nhi h ki wo bhi unki sewa us samay kre jab we apna kam nhi kr sakte?
5-Kya ek maa-papa apani santan ke liye sab kuch chod sakte h to santan ka ye farz nhi h ki we bhi unke liye us sukh ko chode jinse unke maa-papa ko taklif na ho,dukh na ho?
6-Kya santan ka isliye hoti h ki bade ho jao paise kama lo or apni jindgi majje ke sath ji lo ??
7-Jab maa-papa apni sari umar unke aage piche bhagne me gawa dete h to kya santan ka farz nhi ki wo bhudhape me unke aage piche dole.?
EK BETA APNE MAA-PAPA KO GHAR SE ALAG ISLIYE KAR DETA H KI USKI WIFE KO ACHA NHI LAGTA KI WO UNKE SATH RAHE .........
EK BETA APNE PAPA KO APANE DOSTO KE SAMNE ISLIYE NHI LE JA SAKTE KYONKI UNHE ANGREJI ME BOLNA NHI AATA......
EK LADKI APANE MAA-PAPA KO CHOD KAR UNKI MARJI KE KHILAF KISI LADKE KE SATH BHAG JATI H KYA WO LADKA USKE LIYE SAB KUCH HO GAYA KYA UN MATA-PITA KA USKE SAMNE KOI MOL YA KIMAT NHI JINHONE USE ITANE SANAY TAK APNE SINE SE LAGA KR RAKHA....
kahna yahi chahta hu ki apane maa-papa ka aadar kro anadar nhi,unhe khusiya do gam nhi,unhe apna banao praya nhi,......
are jindgi jine ka to majja tab aata h jab aapki jindgi dekh kar unko khusi milti h...jinke karan aap apani jindagi ke majje le rahe ho....unhe taklif pahucha kar aap konsa majje le rahe ho.....
m yah jo kuch bhi kah raha hu wo sab ke liye nhi h ,bahut se aise bhi h jo apne maa-papa ke liye bahut kuch krta h....
m aap logo se yhi dua krunga ki apne maa-papa ko wo dukh mat do jo wo tumse chahte hi nhi h......agar aap kisi ko khusi nhi de sakte to kam se kam unhe dukh to na do...
apane maa-papa ke liye sab kuch chodo to bahaduri h.unhe kisi ke liye chodna kaisi bahaduri h...
ek maa-papa ke budhape me unka sahara bano,na ki unhe besahara chodo.....
Mujhe pta h mene jo kuch likha h wo sab jante h magar ise rok pane ki himmat bahut kam kar pate h...mere sath aao or apne maa-papa ke liye aawaj uthao...apne wale ko sath aisa nhi ho raha to kya hua duniya me kewal apne wale hi to nhi h ...
bahut aise maa-papa h jo apane santan ke hatho aaj majbur hokar lachari ki jindgi jee rahe h ...
roko un hatho ko jo apne mata -pita par aaj bhi hathode ki tarah gir rahe h.......
"agar sarwan na ban sako to kya hua......kam se kam uske nam ko bhi rahne do....
bhagwan ko agar dekhne ki khwahish rakhte ho to....to unhe dekho jinhe bhagwan bhi apna bhagwan samjhta h ...or wo koi or nhi apne hi mata pita h......
-------------------------------------
great thpught by great man
ReplyDelete