Bharsatachar or black money par "baba ramdev"ke aandolan ne kai kai sawalo ko janm diya h,jabki baba ramdev ki mango ki suchi kafi lambi h.unme kai mange to aisi bhi h ,jin par aam janta khud amal hote nhi dekhna chahegi!!
masalan:-bade noto par bain,eng.-medical me hindi shiksa ka vikalp....etc....!baba jin bade noto par bain lagane ki bat kar rahe h,unme 500-1000 ka not bhi shamil h.!
- Mojuda waqt me 500-1000 ko badi rashi ke rup mekese dekha ja sakta h??waise bhi bade noto se sahuliyat badhati h,log apne purse me 100-100 ke das not rakhna chahenge ya 1000 ka ek !!yah disicion un par hi chod dena chahiye!!!
- Jaha tak enginearing -medical me hindi shaksa ki bat h,to ise kahi se bhi achi mang nhi kaha ja sakta !aise waqt me jab sab kuch galoblaiz ho raha h,ham akele hindi se chipak kar kese rah sakte h???chaliye man bhi lajiye hindi me padhayi hone bhi lagi to kya companys apni systm me change layegi!!eng. ya doctor banne wale hmesa colg tak hi to simit nhi rahenge,jab we bahar niklenge to unhe english ka samna krna padega!wah condition is condition se jyada danger hogi.
- Black money ke mude par baba ki bat ko jayj bataya ja sakta h.yah ek aisa muda h ,jis par sarkar lambe waqt se aage badhne ka mahaj dikhawa kar rahi h!suprim court ke dakhal ke bad hi pune ke ghoda vaypari "hasan ali"ko girfatar kiya ja saka!swics bank ke khud black money walo ke nam btane walo par gowt.khud khamosh bethi rahi or ab wah sandi n hone par rona rone lagi h.actualy black money videshi banko me rakhne walo me only bussines man hi nhi h balki sarkar ke kai safedposh neta bhi is jamat me khade h.ya ho sakta h inme se kuch sarkar ka hissa bhi ho?aise me usse inquairy ki umid bekar h.baba ki mang h ki black money wapas lane ke liye kanoon bane ,layi gayi black money national proprty declaere ho.,,aaropiyo par deshdroh ka aarop lagaya jaye.
- Baba ke nishane par bharsatachari bhi h....!baba kahte h bharsatachariyo ka nam entrnet par dala jaye..jisse ki janta unke ashali chehre dekh sake,,yha tak to bilkul thk bhi h or uchit bhi lakin bharsatachariyo ko fanshi par chadhane ki baba ki bat katayi sahi nhi h...jab bade bade craime karne wqlo ko fanshi ki sajja nhi di jati to phr bharsatacharoyui kp kese?saja ke aise solution se to acha h ki vaywastha me badlaw,,jisse ki bharsatachar ki gunjaish hi na bache.baba ne in mamlo ke liye fast track court bannane ki mang ki jiski kafi jarurat bhi h.aamtor par mamuli se mukdme ko bhi adalat me salo lag jate h ya kaiyo ke anjam tak pahuchne se pahle hi fariyadi duniya chod deta h.
Ab ham apne main sawal par aate h ki aakhir baba ke aandolan me aisa kya khas tha ki sarkar daman krne par majbur ho gayi???
Baba ka aandolan ek wel-manged aandolan tha.iske liye vayapk satr par tayari ki gayi thi,gaow -gaow,,shahar- shahar ghume.unhone bakayda apne samrthan ke liye logo se aahwan kiya,apne anuyayiyo se delhi pahuchne ko kaha gaya,desh -videsh me ansan ka parchar kiya gaya.anasan se pahle baba"sawabhiman yatra"ke jariye rajnetik hastiyo ko apne sath jodte gaye..halanki unhone apne manch par kisis bhi siyasi hasti ko aane ki ijjajat nhi di.lakin isse unhe sarkar ke khilaf khulkr medan me aane ka sahas jarur mila.
Baba ka ansan ek aayojan tha jabki "anna hajare "ka aandolan ek aahwan..anna hajare ne janatr -mantar par ansan suru krne se pahle baba jitna parchar nhi kkiya.unhone media se bhi uchi duri banaye rakhi rajtajnitik dal to unke aas pas bhi nhi aaya.anna ne jab ansan ki suruaat ki to unke pas mahaj kuch chand log the,lakin dhire-dhire tadad badati gayi,taddad badhane ke liye anna ne ya unke kisi sathi ne manch se koi aawaj nhi lagayi.log apne aap anna ki muhim se judte gaye.
baba ke aandoln me kam se kam ek lakh logo ne sirkat ki.is lihaj se yah desh ka sabse bada aandolan kaha gja sakta h.lakin aandolan ka sal rang anna ke aandol me hi dikha,anna ka sath dene ke liye aam log bhi jantar mantar pahuch gaye or anna ke sath ho gaye.baccho se lekar budho tak sabhi ne jan-lokpal ke paksh me smrthan kiya.saf sabdo me kahe to baba ko samrthan jutana pada tha or anna ko bin mange hi samrthan mil gaya tha...samajik karykrta anna ka ansan ek ek samany aandolan tha jabki baba ne ansan par krodo kharch kiye.agar baba shanti se aandolan krte to unhe itni tawjo nhi milti.baba jis tarah apne aandolan ka prchar -parsar kar rahe theusse sarkar ke mathe par preshani ke bal padne lage the.
sarkar ko chinta thi ki anna ke aandolan me jan bhagi dari ki tarah agar baba ke aandoln me bhi hua to unkekhilaf mahol banne lagega or vipaksh ke neta unka din -rat ka chain haram kar denge.isliye baba se hath tyagne ka aagarh kiya.baba ko mile sarkari atansan ne ek bat to saf saf kar di aap apni bat ko jitna chila chila kar kahoge uske apni jagah pahuchne ki sambhawna utni hi jyada badh jayegi.
khusi is bat ki h in do mahan hastiyo ne ek bar fir se desh ki soyi janta ko jaga diya unhone bta diya ki ham kya kho rahe h or kya kya kho chuke......yah bat sahi bhi huyi ki jo log sote rahte h unhe jagane ke liye dhamake ki jarurat hoti wo ab ho gaya.....thnq baba ji anna ji...jo aap logo ne ye nek kam kiya..........sab jante h aap logo ne ye sab kuch apne fayde ke liye to nhi kiya h ..........fayda to jarur desh ka hi h..aap logo ne jo kuch bhi kiya jaise bhi kiya bilkul sahi kiya.....i always with you.....
No comments:
Post a Comment