Wednesday, 21 September 2011

Romantic Shayari

Wo aaye, mile aur muskuraye..
Nazro me kho gaye kuch der talak..
Apne aap ko bhul gaye kuch pal ke liye..
aur..
aur jate jate sirf hi itna hi kah paaye..
"tum bahut romantic ho!"

-----------------------------------------------------
Kisi ne puchha, kon hai wo..
Armano ki machalti shaam hai wo,
ek ansuna sa paigam hai wo,
ab tak jiska nasha na kar paaye hum,
ek aisa nasheela sa jaam hai wo,
mere man ko chhukar baichen kar diya jisne,
aisa mere dil ka chain, man ka aaram hai wo,
aur ab bhi na samajh pao, to ye jaan lo ki,
ki..
ki mera adhura sa naam hai wo...!

------------------------------------------------------
Main to yun hi..
Apni dhun me..
Kalam apni ghis raha tha..
Dil ki bhadas nikal raha tha..
Meri shayari itni qatil to na thi..
Ab sidhi aapke dil par lagi to main kya karu..
Aap dhadkan ek karne lage to..
main kya karu....!

------------------------------------------------------
palko pe baithata hai wo,
dil me basata hai wo,
dil udne laga hai uske hone se,
kyuki aasman bhar ke pyar ka ahsas karwata hai wo...!

-----------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment